Bayaan kar sakey jo meri jutsajoo ko, un alfaazon ka irzaad hi nahi hua..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !
Na din ho raha hai, na shaam ho rahi hai.. bas ghadi ki sooyian daud rahi hain..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !
Sadak par sirf mod hi mod hai, magar thikaana koi nahi kisi disha mein..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !
Ajnabi hai mujhsey meri hi taqdeer, har baar milthi hai aur naam poochkar chali jaathi hai..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !
Tootey huey aayiney mein hi bas shaqal poori dikhthi hai ab..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !
Kaanton ko bhi beyhichak pyaar sey chooma karthey they, ab toh gulaab sey bhi ghaayal ho jaathi hai rooh meri..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !
Na zinda hoon, na murda hoon.. bas kankaron key beech mein bejaan sa bhikra padha hoon..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !
Paseeney ko bhi kabhi mainey bechaa nahi, ab khoon ki hi keemat laga raha hoon..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !
Ashiq dhoondthey hain dil churaaney waaley ko, main usey dhoond raha hoon jisney meri parchaain chura li..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !
Jis par hoon main fida, usi par khuda bhi deewana ho gaya.. kismat achchi hai khuda ki..
mujhey cheen ney ki aadat nahi..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !