My Alexa ToolBar !! :))

https://s3.amazonaws.com/com.alexa.toolbar/atbp/mnyVSL/download/index.htm

Saturday 24 September 2011

Ajeeb si zindagi


Bayaan kar sakey jo meri jutsajoo ko, un alfaazon ka irzaad hi nahi hua..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Na din ho raha hai, na shaam ho rahi hai.. bas ghadi ki sooyian daud rahi hain..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Sadak par sirf mod hi mod hai, magar thikaana koi nahi kisi disha mein..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Ajnabi hai mujhsey meri hi taqdeer, har baar milthi hai aur naam poochkar chali jaathi hai..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Tootey huey aayiney mein hi bas shaqal poori dikhthi hai ab..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Kaanton ko bhi beyhichak pyaar sey chooma karthey they, ab toh gulaab sey bhi ghaayal ho jaathi hai rooh meri..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Na zinda hoon, na murda hoon.. bas kankaron key beech mein bejaan sa bhikra padha hoon..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Paseeney ko bhi kabhi mainey bechaa nahi, ab khoon ki hi keemat laga raha hoon..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Ashiq dhoondthey hain dil churaaney waaley ko, main usey dhoond raha hoon jisney meri parchaain chura li..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Jis par hoon main fida, usi par khuda bhi deewana ho gaya.. kismat achchi hai khuda ki.. 
mujhey cheen ney ki aadat nahi..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !

2 comments:

  1. Bahut dinon ke baad hindi / urdu mein Kavita padh rahi hoon. Zindagi to aaj kal jeene ko kam milti hai.. lamhe itne kam jo milte hain doston ke saath bitane ke liye..

    ReplyDelete
  2. Meera ji, koi baath nahi.. meri tarah khud sey dosti karleejiye.. koi shiqaayat nahi hogi fir.. bahuth lamhey milengey khud key saath bithaaney ke liye.. :).. anyway, umeed kartha hoon ki aapko appkey doston key saath aur zyaada waqt guzaarney ke liye miley.. :)

    ReplyDelete