My Alexa ToolBar !! :))

https://s3.amazonaws.com/com.alexa.toolbar/atbp/mnyVSL/download/index.htm
Showing posts with label Heart. Show all posts
Showing posts with label Heart. Show all posts

Monday, 24 October 2011

जी लेता हूँ बस युहीं \ Jee letha hoon bas yuhin

मत चौंक की मैं ज़िन्दा कैसे हूँ,  तेरे जाने के बाद...
मैने और बहाने ढूँढ लिए जीने के, तेरे जाने के बाद !

यह दिल जो ज़ख़्मी हुआ था, उसे मैने पूरा तोड़ दिया, तेरे जाने के बाद..
मुस्कुरा लेता हूँ आज भी, मगर मोहब्बत करना छोड़ दिया, तेरे जाने के बाद !! 

-----------------------------------------------------------------------------

Mat chaunk ki main zinda kaisey hoon, terey jaaney key baad..
Mainey aur bahaaney dhoond liye jeeney ke, terey jaaney key baad !!

Yeh dil jo zakhmi hua tha , usey mainey poora tod diya, terey jaaney key baad..
Muskura letha hoon aaj bhi, magar mohabbath karna chod diya, terey jaaney key baad !!

Saturday, 24 September 2011

Ajeeb si zindagi


Bayaan kar sakey jo meri jutsajoo ko, un alfaazon ka irzaad hi nahi hua..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Na din ho raha hai, na shaam ho rahi hai.. bas ghadi ki sooyian daud rahi hain..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Sadak par sirf mod hi mod hai, magar thikaana koi nahi kisi disha mein..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Ajnabi hai mujhsey meri hi taqdeer, har baar milthi hai aur naam poochkar chali jaathi hai..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Tootey huey aayiney mein hi bas shaqal poori dikhthi hai ab..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Kaanton ko bhi beyhichak pyaar sey chooma karthey they, ab toh gulaab sey bhi ghaayal ho jaathi hai rooh meri..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Na zinda hoon, na murda hoon.. bas kankaron key beech mein bejaan sa bhikra padha hoon..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Paseeney ko bhi kabhi mainey bechaa nahi, ab khoon ki hi keemat laga raha hoon..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Ashiq dhoondthey hain dil churaaney waaley ko, main usey dhoond raha hoon jisney meri parchaain chura li..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Jis par hoon main fida, usi par khuda bhi deewana ho gaya.. kismat achchi hai khuda ki.. 
mujhey cheen ney ki aadat nahi..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !