My Alexa ToolBar !! :))

https://s3.amazonaws.com/com.alexa.toolbar/atbp/mnyVSL/download/index.htm

Sunday, 13 November 2011

शायद यह भी हो \ Shaayad yeh bhi ho

आंसुओं के समंदर में, उसके यादों की कश्तियाँ बहाता हूँ ....
जब भी कोई  कश्ती किनारे  पर  लग जाती  है  तो  सोचता  हूँ ,
वो  भी  शायद  मुझे  याद  करती  होगी !! 


खुदा  के  दर  पर  मेरे  फरियादों  का  मेला  लगता  है ..
जब  भी  कोई  ख्वाहिश  मुक्क़मल  हो  जाती  है  तो  सोचता  हूँ ,
वो  भी  शायद  मेरे  लिए  फरयाद  करती  होगी  !!

मोहब्बत  के  इंतज़ार  में  ज़िन्दगी  की  शाम  ढलती  सी  लगती  है ..
जब  भी  एक  और  नयी  सुबह  से  मिलता  हूँ  तो  सोचता  हूँ ,
वो  भी  शायद  मुझसे  मोहब्बत  करती  होगी  !!


------------------------------------------------------------------------------------------------------


Aansuon key samandar mein, uskey yaadon ki kashthiyaan bahaathaa hoon..
Jab bhi koi kashthi kinaarey par lag jaathi hai toh sochtha hoon,
woh bhi shaayad mujhey yaad karthi hogi !!


khuda key dar par merey fariyaadon ka mela lagtha hai..
Jab bhi koi khwahish muqqamal ho jaathi hai toh sochtha hoon,
woh bhi shaayad merey liye faryaad karthi hogi !!


Mohabbath key intezaar mein zindagi ki shaam dhalthi si lagthi hai..
Jab bhi ek aur nayi subah sey miltha hoon toh sochtha hoon,
woh bhi shaayad mujhsey mohabbath karthi hogi !!

Monday, 24 October 2011

जी लेता हूँ बस युहीं \ Jee letha hoon bas yuhin

मत चौंक की मैं ज़िन्दा कैसे हूँ,  तेरे जाने के बाद...
मैने और बहाने ढूँढ लिए जीने के, तेरे जाने के बाद !

यह दिल जो ज़ख़्मी हुआ था, उसे मैने पूरा तोड़ दिया, तेरे जाने के बाद..
मुस्कुरा लेता हूँ आज भी, मगर मोहब्बत करना छोड़ दिया, तेरे जाने के बाद !! 

-----------------------------------------------------------------------------

Mat chaunk ki main zinda kaisey hoon, terey jaaney key baad..
Mainey aur bahaaney dhoond liye jeeney ke, terey jaaney key baad !!

Yeh dil jo zakhmi hua tha , usey mainey poora tod diya, terey jaaney key baad..
Muskura letha hoon aaj bhi, magar mohabbath karna chod diya, terey jaaney key baad !!

Saturday, 24 September 2011

Ajeeb si zindagi


Bayaan kar sakey jo meri jutsajoo ko, un alfaazon ka irzaad hi nahi hua..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Na din ho raha hai, na shaam ho rahi hai.. bas ghadi ki sooyian daud rahi hain..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Sadak par sirf mod hi mod hai, magar thikaana koi nahi kisi disha mein..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Ajnabi hai mujhsey meri hi taqdeer, har baar milthi hai aur naam poochkar chali jaathi hai..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Tootey huey aayiney mein hi bas shaqal poori dikhthi hai ab..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Kaanton ko bhi beyhichak pyaar sey chooma karthey they, ab toh gulaab sey bhi ghaayal ho jaathi hai rooh meri..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Na zinda hoon, na murda hoon.. bas kankaron key beech mein bejaan sa bhikra padha hoon..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Paseeney ko bhi kabhi mainey bechaa nahi, ab khoon ki hi keemat laga raha hoon..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Ashiq dhoondthey hain dil churaaney waaley ko, main usey dhoond raha hoon jisney meri parchaain chura li..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !


Jis par hoon main fida, usi par khuda bhi deewana ho gaya.. kismat achchi hai khuda ki.. 
mujhey cheen ney ki aadat nahi..
Yeh kaisi zindagi jee raha hoon main !

Tuesday, 16 August 2011

Sheesh ka Hum Safar !!


Mohabbath bhi ajeeb kar baithaa main..
Bin manzil waali aisi raah par chalaa,
ki aashiyaan kahin na dikha aur rah ko hi maqsad bana baithaa main..
Tum na sahi meri jeevan sathi ban saki..
Meethi si tumhari yaadon ko hi apna hum safar bana baithaa main..

Tuesday, 18 January 2011

Why Me?

God:  Hey You!
Me:   Hey God. How are you doing?
God: You seem to have been happy for a while now.
Me:   Well, it has been just a few moments with my love.
God:  Have you heard about Pareto’s rule?
Me:   Yeah! 
God:  Your life follows that. 20% happiness and 80% sorrow.
Me:    Uh Oh !! 
God:  I'm going to suck the love out of your life.
Me:   I deserve her more than you. Please.
God: Take a deep breath before the air around you becomes scarce.
Me:   But why me?
And silence prevailed in the darkness which engulfed me thereafter..

Saturday, 8 May 2010

Kafan

khush toh hoon main ki tum khush ho..
Afsos bas is baat ka,
ki tumhari khushiyon ka sej
meri mohabbat ki kabr par saja hai !


Merey dost meri kafan ki chaadar dhoond rahey they,
aur tumharey rishtedaar tumhey resham se lapet rahey they !
Yeh shayad khwahish hai khuda ki, 
ki tum par saje huey resham sey buney mera kafan !!

Sunday, 1 November 2009

The Stages of Life

Life..

Life!

Life?

Life.

Saturday, 22 August 2009

Begaanon Ka Mohalla..

Har roz in chehron ko dekhtha hoon..

Na koi muskaan na koi aur ehsaas!!

Saath mein chaar kadam bhi roz chaltha hoon..

Naya din, nayi mulaqat aur unke wahi mizaaz!!

Shaayad main begaanon ke mohalley mein rehta hoon..

Fizool hee dhoond raha hoon apnon ki awaaz!!

Friday, 27 February 2009

Balaa

क्या बला थी वोह जो कल रात कहर ढा गई ,
इस पथ्थर दिल में भी एहसास जगा गई !
रेशम सी होंटों से शबाब भिकरा गई ,
मेरे होंटों में भी ज़हर की प्यास जगा गई !
आकर करीब मेरे, निगाहों से एक जाम पिला गई ,
छूकर मेरे जिस्म को, यह कैसी आग लगा गई !
एक ही मुलाक़ात में, मेरी रूह को भी हिला गई ,
हर सपने में वो आती है, यह कैसी नींद सुला गई !
जिस रात मुझे वो मुहब्बत के ढाई अल्फाज़ सुना गई ,
दोज़क सी इस ज़िन्दगी को भी खुबसूरत तोहफा बना गई !

----------------------------------------------------
Kya balaa thi wo jo kal raat kehar dhaa gayi,
Is paththar dil mein bhi ehsaas jagaa gayi.
Resham si honton se shabaab bhikraa gayi,
Mere honton mein bhi zeher ki pyaas jagaa gayi.
Aakar kareeb mere, nigaahon se ek jaam pilaa gayi,
Chookar mere jism ko, yeh kaisi aag lagaa gayi.
Ek hi mulaqaat mein, meri rooh ko bhi hilaa gayi,
Har sapney mein wo aathi hai, yeh kaisi neend sulaa gayi.
Jis raat mujhey wo muhabbath ke dhaai alfaaz sunaa gayi,
Dozak si is zindagi ko bhi khubsoorat tohfa bana gayi.

Thursday, 12 February 2009

Jab hua yeh, hua tab woh !!

उन आँखों में हमने तस्वीर अपनी देखि जब ,
हम भी जवान हो गए, यह यकीन हुआ तब!

दिल में मीठी सी अनजानी कसक उठी जब,
हम भी आशिक हो गए, यह मालूम हुआ तब!

हाथ में लाल गुलाब लिए महबूबा से मिले जब,
आंखें बंद, जुबान न खुले, यह हाल हुआ तब!

मोहब्बत उस बेदर्द को महसूस न करा सके जब,
मधुशाला के आंगन में, यह इन्तेकाल हुआ तब!
_____(English script is below)___________________
Un aankhon mein humney tasveer apni dekhi jab,
Hum bhi jawaan ho gaye, yeh yekeen hua tab!

Dil mein meethi si kasak uthi jab,
Hum bhi aashiq ho gaye, yeh maaloom hua tab!

Haath mein laal gulaab liye mehbooba se miley jab,
Aankhein bandh, jubaan na khuley, yeh haal hua tab!

Mohabbath us bedard ko mehsoos na kara sakey jab,
Madhushaala ke aangan mein, yeh inteqal hua tab!

Saturday, 17 January 2009

Tanhaai !!

Hum tanhaai mein yun rothey, jaise sawan mein badal barsey..
Na daulath chahiye na koi mukaam, hum bas teri mohabbat ko tarsey!